Jahaan Abshar Behtay hain Wahan Paani nhe Milta

  •  

    Interesting demands of sindh hospital doctors. Jis province me log pani ko Taras rehay Hain wahan doctors ko apna salary Kam lagta hae, waah G waah!!!! Mujhe lagta hae k ye sab zardari oor chief Minister sindh k kehne pe beurocrates krwa rehay Hain, ap sab ko Maloom hae k haal he me sindh k hospitals federal government k under aachukay Hain oor zardari ko, chief minister sindh ko ye sab hazm nhe horaha, 7 7 18v tarmeem ka dar sata raha hae, islye ye sab to hona he tha. Mujhe afsoos is baat ka hae k hamaray qaabil officers’ oor doctors jinko is waqt mulk ke shadeed zaroorat hae, Sab bik chukay Hain. Achay achay positions pe bethay huye log b khilmat-a-khalq pe aik fard ya shakhs ke khidmat ko tarjeeh de rehay Hain. Civil oor government k department sab siasat ke nazar ho gaye hain. Log Allah paak ke Raza se nikal Kar zardari ke faza me saans lena chaahtay Hain lekin yaad rehay k zaalim oor zulm 2no ziada Dayr tak chal nhe saktay. Abhi agar federal government qanoon saazi Karay oor hr khaas o aam uhdey pe fayiz logo ko apne duty se absent rehnay pe stipends (salary) rozana k hisaab se katoti ke Jaye, phir me dekhta hu k ye doctors oor ye lawyers kasie bnd krtay Hain hospitals oor courts . Ye bezameer log siasi Karindey banay huye hr waqt roado pe kutto ke trha nikal atay Hain. Jis din zardari oor Mollana Fazlur Rehman Ander hon ge oor ye CIA k role pe masroof media channels jis din bnd hon ge us din u samjhiye k Pakistanio ke dua qabool ho gayi oor mulk sahi simt pe chal Para hae. Allah hum sab ko bikaw logo se oor bezameer hukumrano se bachaye.